Al-Huda Academy ek esa idarah hai jo islami taalimat ko aasan or moassir tariqe se aam karne ke liye koshish hay. ye idarah mukhtalif Topics Jaise Tafseer, aqeedah, Hadis, Fiqh, Seerat, adab aur Arabic zaban ke Asbaaq faraham karta hay. in asabaq ko aise mumtaz mashayekh or tajarba kar lecturers pesh karte hain jo islami uloom me Gahri mahart rakhte hain. Al Huda ka buniyadi maqsad talabah ko quran o sunnatt ki roshani me islaam ki asal taalimat se roshnash karana hay taaki wo ek mazboot Deeni Buniyad par apni zindagi guzar saken. is ke zariye islami ilm ko na sirf aam kiya jata hay balki talabah ki shaqsiyat saazi or masharti kirdar ko bhi nikhara jata hay.